poetry
|
|
swiftflier | Date: Saturday, 2008-08-30, 8:46 PM | Message # 1 |
Major
Group: Moderators
Messages: 87
Status: Offline
| mohabbat kii tabiyat me.n ye kaisaa bachapanaa qudarat ne rakkhaa hai ke jitanii puraanii jitanii bhii mazabuut ho jaaye ise taa_iid-e-taazaa kii zaruurat phir bhii rahatii hai yaqii.n kii aaKhirii had tak dilo.n me.n lah_lahaatii ho nigaaho.n se Tapakatii ho lahuu me.n jag_magaatii ho hazaaro.n tarah se dil_kash hasiin haale banaatii ho use izhaar ke lafzo.n kii haajat phir bhii rahatii hai mohabbat maa.Ngatii hai yuu.N gavaahii apane hone kii ke jaise tifl-e-saadaa shaam ko ik biij boye aur shab me.n bauraa uThe zamii.n ko khod kar dekhe ke paudhaa ab kahaa.N tak hai mohabbat kii tabiyat me.n ajab takaraar kii Khuu hai ke ye iqraar ke lafzo.n ko sunane se nahii.n thakatii bichha.Dane kii gha.Dii ho yaa ko_ii milane kii sa'at ho ise bas ek hii dhun hai kaho mujh se mohabbat hai kaho mujh se mohabbat hai kuchh aisii besakuunii hai vafaa kii sar_zamii.no.n me.n ke jo ahal-e-mohabbat ko sadaa bechain rakhatii hai ke jaise phuul me.n Khsuhbuu ke jaise haath me.n taaraa ke jaise shaam kaa taaraa mohabbat karane vaalo.n kii sahar raato.n me.n rahatii hai gumanaam ke shaaKhcho.n me.n aashiyaa.N banataa hai ulfat kaa ye ain visaal me.n bhii hijr ke Khadsho.n me.n rahatii hai mohabbat ke musaafir zindagii jab kaaT chukate hai.n thakan kii karachiyaa.N chunate vafaa kii ajarake.n pahane samay kii rah_guzar kii aaKhirii sarhad pe rukate hai.n to ko_ii Duubatii saa.Nso.n kii Dorii thaam ker dhiire se kahataa hai ke ye sach hai naa hamaarii zindagii ik duusare ke naam likhii thii dhundhalakaa saa jo aa.Nkho.n ke qariib-o-duur phailaa hai isii kaa naam chaahat hai tumhe.n mujh se mohabbat thii tumhe.n mujh se mohabbat hai mohabbat kii tabiyat me.n ye kaisaa bachapanaa qudarat ne rakkhaa hai
|
|
| |
swiftflier | Date: Saturday, 2008-08-30, 8:46 PM | Message # 2 |
Major
Group: Moderators
Messages: 87
Status: Offline
| Iss dil ki rahoon main,... apno main sapno main,..... Palko ki chilman main,.... ashko ke ansoon main,..... Muskuratey hoton main,.... har haseen chhre main,.... Har lamhe yadoon main,.... khoobsorat muasam main,... Phootti kaliyon main,..... khiltey phoolon main,..... Suraj ki kirno main,...... dhoop main saye main,..... Karaktey badal main,...... baarish ki bondoon main,.. Dhalti shamoo main,....... tanha ratoon main,........ Raat ki tariki main,...... chanda ki roshni main,.... Taroon ki jhilmil main,... khushboo main sanso main,. Un kahi batoon main,...... payar se mohabbat main,... Dhonda jaahaan main,...... PAYA TUJH KO ANKHON MEIN!!!!
|
|
| |
swiftflier | Date: Saturday, 2008-08-30, 8:47 PM | Message # 3 |
Major
Group: Moderators
Messages: 87
Status: Offline
| Bay Sabab Tu Na Theen Teri Yaadien Teri Yadon Say Kia Nahi Seekha Zabt Ka Hosla Barha Laina Aansouon Ko Kahin Chupa Laina Kanpti Dolti Sadaoon Ko Chup Ki Chadar Say Dhaanp Laina Bay Sabab Bhi Kabhi Kabhi Hansna Jab Bhi Ho Baat Koi Talkhi Ki Mozuy_e_Guftugo Badal Daina Bay Sabab Tu Nahin Teri Yadien Teri Yadoon Say Kia Nahin Seekha!!! Meri zindagi ek katray ki manind hai Key jiski keemat janta hai sehra ,, or koi nahi Tujh Say Judai Key Ek Faislay Key Bad Mai Khud Bhi Apnay Sath Kabhi Phir Raha Nahi Aaj Tuk Rooh Mai Kanta Sa Chubhta Hai Itna Kuch Keh Ker Bhi Kehney Ki Tamana Hi Rahi Hayee!! woh Zakham Jo Lafzon Mai Paraoye Na Gaye Ufffff!!! Woh Aansoo Jinhay Behney Ki Tamanna hi Rahi Ker Gaye Daman Ko Taar, Phir Aaj Ashq Mainay Behney Say Inhay Roka Buhat... Mill Na Paya Apna Koi Bhi Nishaan Khud Ko Apni Zaat Mai Dhonda Buhat... Azmaon May Bhi Ab Tujh Ko Zara Zindagi Tu Nay Mujhay Jancha Buhat...
|
|
| |
swiftflier | Date: Saturday, 2008-08-30, 8:47 PM | Message # 4 |
Major
Group: Moderators
Messages: 87
Status: Offline
| usay apnay farda ki fikr thi woh jo mera waqif e khal tha woh jo us ki subah e urooj thi wohi mera waqt e zawal tha mera dard kesay woh janta meri baat kesay woh manta woh to khud fna k safar mein tha usay rokna b muhal tha kahan jao gay mujhay chor k main yah pooch pooch k thak gaya woh jawab mujh ko na day saka woh to khud srapa sawal tha woh jo us kay samnnay aa gaya wohi roshni mein naha gaya ajab us ki haibat e husn thi ajab us ka rang o jamal tha dam e wapsi usay kya huwa na woh roshni na woh tazgi woh sitara kesay bikher gya woh to aap apni misal tha woh mila to sadion k baad b mere lab pay koi gila na tha usay meri chup nay rula diya jisay guftagu mein kamal tha mere saath lag k woh ro diya mujhay FAKHRI itna woh kah saka jisay janta tha main zindagi woh to sirf wekhm o khayal tha
|
|
| |
swiftflier | Date: Saturday, 2008-08-30, 8:47 PM | Message # 5 |
Major
Group: Moderators
Messages: 87
Status: Offline
| Gungunatay Hue Anchal Ki Hawa Deh Mujh Ko Ungliyaan phair Ke BAloon Main Sunlla Deh Mujh Ko Jis Tarah Faltu Guldaan Paray Rehtay Hain Apne Ghar Ke Kisi Konay Se Lagga Deh Mujh Ko Yaad Kar Ke Mujhe Takleef He Hoti Hogii Aik Kissa Hoon Purana Sa Bhulla Deh Mujh Ko Doobtay Doobtay Awaaz Teri Sunn Jaoon Akhiri Baar Tu Sahil Se Sadah Deh Mujh Ko Main Tere Hijr Main Chup Chaap Na Marr Jaoon Kahin Main Hoon Saktay Main Kabhii Aa Ke Rulla Deh Mujh Ko Dekh Main Hogaya Badnaam Kitaboon Ki Tarah Merii Tasheer Na Kar Ab Tu Jalla Deh Mujh Ko Rhootna Tera Meri Jaan Liye Jata Hai Aesay Naraaz Na Ho Hanse Ke Dekha Deh Mujh Ko Aur Kuch Bhi Nahi Manga Mere Malik Tujh Se Us Ki Galiyoon Main Parii Khaak Banaa Deh Mujh Ko Log Kehtay Hain Ke Yeh Ishq Niggal Jata Hai Main Bhi Is Ishq Main Aya Hoon,Dua Deh Mujhe Ko Yahi Okaat Hai Meri Tere Jeevan Mein Ke Main Koi Kamzoor Sa Lamha Hoon, Bhulla Deh Mujh Ko
|
|
| |
swiftflier | Date: Saturday, 2008-08-30, 8:47 PM | Message # 6 |
Major
Group: Moderators
Messages: 87
Status: Offline
| Chalo ye rat ham ik dosre ke naam karte hain, Chalo ik dosre ke aj ham dukh dard sunte hain, Bhatakte ho kiun tum tanha sitaron ke jhamelon men, kaho jo dil men aata hay hamtan gosh sunte hain, Buhat ghamgen rehte ho hazaron dard sehte ho, tumhari dharkanon men ik ajab sa shor sunte hain, Chalo acha yon karte hain, Suno tum ham sunate hain, Ham apne dil ke har ik zakhm se parda uthate hain, Dikhate hain tumhen tanhiyan kia zulm dhati hain, Jhalak har pal daro dewar men uski dikhati hain, Hamen har pal satati hain har ik lamha rulati hain, Hamri sanson men tehlil hay khushbo wohi ab tak, Hamen har phol se mehkar un sanson ki ati hay, Buhat mushkil si hoti jarahi hay zindagi MEHTAB, Tarapte hain sulagte hain magar khamosh rehte hain, Chalo ye rat ham ik dosre ke naam karte hain, Chalo ik dosre ki aj ham tanhaiyan banten.
|
|
| |
swiftflier | Date: Saturday, 2008-08-30, 8:48 PM | Message # 7 |
Major
Group: Moderators
Messages: 87
Status: Offline
| kal raat janay kia HUA kuch dair pehlay neend say kuch ashk milnay aa gayey kuch khuwaab bhi tootay huay kuch log bhi bholay huay kuch raasta bhatki hueen kuch gard mein lipti hueen kuch bay-tarah phaili hueen kuch khoul mein simti hueen bay-rabt si sochein kaei bholi hui baatain kaei ik shaks ki yaadein kaei phir dair tak jaga raha sochoun mein gum baitha raha ungli say thanday farsh per ik naam bas likhta raha kal raat bhi woh raat thi kuch dair pehlay neend say mein dair tak rota raha
|
|
| |
swiftflier | Date: Saturday, 2008-08-30, 8:48 PM | Message # 8 |
Major
Group: Moderators
Messages: 87
Status: Offline
| IDHER DEKHO YEH KHAMOSHI ZARA ACHI NAHI LAGTI KAHO!!! KUCH TU KAHO JANA'N RUTEIN KAISAY BADALTIEN HAIN BAHAREIN GUM HOI KAISAY KHIZAAN KA RAAJ KAISA HAI ?????? CHALO IK LAFZ GHALAT FEHMI YA IK RISHTEY KI SACHAAIEE MUHABBAT, DOSTI NAFRAT KISI MAUZO KO CHAREIN HAM KOI TU RAEY DO APNI KOI TU SILSILA NIKLAY MERAY IN SOOKHEY BALOO'N PER MERI BANJAR SI AANKHOON PER MERAY IN MAILAY DANTOO'N PER CHALO TANQEED KAR DALO SITAREY AISI PALKOO'N PER NAHI JANA NAHI ACHAY TUMHARI TU YE! AADAT THI MERI HAR BAAT PAR HANSNA ZAMEEIN PER APNI UNGLI SAY AREY KYA LIKH RAHEY HO TUM SUNO TUM SAY MUKHATIB HOON MUJHEY DEKHO MAIN KAISAY HOON AGARCHEY MAR GYA HOON MAIN TUMHARA HUKM MANA HAI TU PHIR KIS BAAT KA RONA TUMHEY TU MUSKURANA HAI INHI IK DO DINOO'N MAIN TU MUJHEY BAS BHOOL JANA HAI..
|
|
| |
swiftflier | Date: Saturday, 2008-08-30, 8:48 PM | Message # 9 |
Major
Group: Moderators
Messages: 87
Status: Offline
| Meray charagar meray darad ki tujay kaya khabar tu meray safar ka sharek hay nahi humsafar meray charagar,meray charagar teray hatth say meray hatth tak woh jo hatth bhar ka tha fasala kaie mosamoon main badal gaya isay naptay isay kat thay mera sara waqat nikal gaya nahi jis pay koi nishan-e pa meray samnay hay woh rahguzar meray charagar meray darad ki tujay kaya khabar yeh jo rag-e dashtay feraq hay meray rastoon main bichi hui kisi more pay rokay kaheen yeh jo ratt hay meray char soo magar is ki koi sahar nahi na hi chaoon hay na samar koi main nay chaan dekha shajar shajar meray chara gar meray darad ki tujay kaya khabar
|
|
| |
swiftflier | Date: Saturday, 2008-08-30, 8:49 PM | Message # 10 |
Major
Group: Moderators
Messages: 87
Status: Offline
| mai ne iss taur se chaha tujhay aksar janaan!!! mein nay iss taur se chaha tujhe aksar janaan jaisay mahtab ko be-ant samander chahay jaisay sooraj ki kiran seep ke dil mai utray jaisay khushbu ko hawa, rung se hut ker chahay jaisay pathhar ke kalaijay se kiran phoot-ti hai jaisay ghunchay khulay mausam se hina mangtay hein jaisay khaaboan mai khayaloan ki kamaan toot-ti hai jaisay barish ki dua aabla-pa mangtay hein mera har khaab meray such ki gawahi de ga wus'at-e-deed ne tujh se teri khaahish ki hai meri sochoan mai kabhi dekh sarapa apna! mai ne duniya se alag teri parastish ki hai khaahis-e-deed ka mausam kabhi dhundla jo hua noach daali hain zamanay ki naqabain mai ne teri palkoan pay utarti hui subhoan k liye toar daali hain sitaroan ki tanabain main ne mai nay chaha keh teray husn ki gulnaar fiza meri ghazlon ki qataron se mehekti jaey mai ne chaha keh meray fun ke gulistaan ki bahaar teri aankhoan ke gulaboan se mehekti jaye tai to yeh tha keh sajata rahay lafzoan ke kanwal meray khamosh khayaloan mai takallum tera raqs kerta rahay, bharta rahay, khushbu ka khumaar meri khaahish ke jazeeroan mein takallum tera tu magar ajnabi mahol ki parwardah kiran meri bujhti hoi ratoan ko sahar ker na saki teri sansoan mai maseehai to thee laikin tu bhee chara-e-zakhm-e-gham-e-deeda-e-tarr, ker na saki tujh ko maloom hi kab hai keh kisi dard ka daagh aankh se dil mein utar jaey to kya hota hai??? tu keh seemab tabiyat hai tujhe kya maloom mausam-e-hijr theher jaey to kya hota hai tu nay uss moar pay tora hai ta'alluq keh jahan dekh sakta nahin koi bhee palat ker janaan abb yeh aalam hai keh ankhain jo khulain gee apni yaad aey ga teri deed ka manzar janaan mujh se maangay ga teray ehd-e-mohobbat ka hisaab teray hijraan ka dehekta hua mehshar janaan yoon meray dil ke barabar tera gham aya hai jaisay sheeshay ke maqabil koi pathhar janaan!!! jaisay mahtaab ko be-ant samander chahay mai ne iss taur se chaha tujhay aksar janaan!!!
|
|
| |
swiftflier | Date: Saturday, 2008-08-30, 8:49 PM | Message # 11 |
Major
Group: Moderators
Messages: 87
Status: Offline
| Chaacha Wardi Lahnda Kiyon Nahin" Ban ke mard wakhanda kiyon nahin Apna qaul nibhanda kiyon nahin Lay ke pension janda kiyon nahin Chaacha Wardi Lahnda Kiyon Nahin Teri muddat ho gai poori Hun te janra hay majboori Rajia nahin tu khaa khaa choori Torriyan tu hadan dastoori Izzat de naal janda kiyon nahin Chaacha Wardi Lahnda Kiyon Nahin Nas ke tu washington jaaven Bush noon jaa jaa masske laaven Pairi dig dig tarle pavain Mazlooman noon tarryian lavain Zaliman naal takranda kiyon nahin Chaacha Wardi Lahnda Kiyon Nahin Baatil ne shatranj vichchai Muhra labh ke chaal chalai Millat noon toon maat kamai Yaari dushman naal nibhai Jurman te sharmanda kiyon nahin Chaacha Wardi Lahnda Kiyon Nahin
|
|
| |
swiftflier | Date: Saturday, 2008-08-30, 8:49 PM | Message # 12 |
Major
Group: Moderators
Messages: 87
Status: Offline
| ager kuch nam dayna hoo mujhay insaan maat kahna jooda charay,jooda beshak sahbi kay nam hotay hain mager insaniyat kay ab yaha per daam hotay hian mere tum daam maat dayna mujhay ye nam maat dayna ager kuch nam dayna hoo mujhay ahsas kahy dayna mager tahrooo! mujhay ahsaas maat kahna mera bas nam rah jay mujy asa nahi rahna mujhay ahsaas maat kahna ager kuch nam dayna hoo mujhay sawan hi kah dayna mager tahrooo mujhay sawan maat kahan barsata hay mager rut kay badlay betee jata hay ager kuch nam dayna hoo mujhay ansoow hi kah dayna janam layna kiss ki ankha main raksar pay marna ye hi jiss ki haqetat hay cholo ansoow hi kah dayna mager dekhaooo kiss ki ankha main muj ko kabi anay na dayna kay kimat ansooowoo ki ab ab ada tum se nahi hoo gi mujhay ansooow nahi kahna ! mujhay ankhon main basta ik hasaeen sapna hi kahna kay sapnay ankhoo main tarooow ki tarhan jilmailtay hain mager tahrhoo! mauhay sapna maat kahna kay sapnay totut jatay hain mujhay apna nahi kahna kay apnay tu rauthoo jatya hain
|
|
| |
swiftflier | Date: Saturday, 2008-08-30, 8:50 PM | Message # 13 |
Major
Group: Moderators
Messages: 87
Status: Offline
| Agar aansu naa hote aankho mein, toh aankhen itni khoobsurat naa hoti, agar dard na hota dil mein, to khushi ki keemat pata na hoti, agar bewafai na ki hoti waqt ne, to wafa ki kabhi chahhat na hoti, agar mangne sa puri ho jaati muraadein, toh uss khuda ki kabhi zarurat naa hoti..... Kudrat ke karishmo me agar raat na hoti, Khwabon me bhi unse mulaqat na hoti, Yeh dil har ek gam ki wajah hai, Ye dil hi na hota toh koi bat hi na hoti..
|
|
| |