Friday
2024-11-29
1:36 AM
Welcome Guest
RSS
 
Pak Friendship
Main Registration Login
poetry - Forum »
[ New messages · Members · Forum rules · Search · RSS ]
  • Page 1 of 1
  • 1
poetry
swiftflierDate: Saturday, 2008-08-30, 8:46 PM | Message # 1
Major
Group: Moderators
Messages: 87
Reputation: 1
Status: Offline
mohabbat kii tabiyat me.n
ye kaisaa bachapanaa qudarat ne rakkhaa hai

ke jitanii puraanii jitanii bhii mazabuut ho jaaye
ise taa_iid-e-taazaa kii zaruurat phir bhii rahatii hai
yaqii.n kii aaKhirii had tak dilo.n me.n lah_lahaatii ho
nigaaho.n se Tapakatii ho lahuu me.n jag_magaatii ho
hazaaro.n tarah se dil_kash hasiin haale banaatii ho
use izhaar ke lafzo.n kii haajat phir bhii rahatii hai

mohabbat maa.Ngatii hai yuu.N gavaahii apane hone kii
ke jaise tifl-e-saadaa shaam ko ik biij boye
aur shab me.n bauraa uThe
zamii.n ko khod kar dekhe
ke paudhaa ab kahaa.N tak hai

mohabbat kii tabiyat me.n ajab takaraar kii Khuu hai
ke ye iqraar ke lafzo.n ko sunane se nahii.n thakatii
bichha.Dane kii gha.Dii ho yaa ko_ii milane kii sa'at ho
ise bas ek hii dhun hai
kaho mujh se mohabbat hai
kaho mujh se mohabbat hai

kuchh aisii besakuunii hai vafaa kii sar_zamii.no.n me.n
ke jo ahal-e-mohabbat ko sadaa bechain rakhatii hai
ke jaise phuul me.n Khsuhbuu ke jaise haath me.n taaraa
ke jaise shaam kaa taaraa
mohabbat karane vaalo.n kii sahar raato.n me.n rahatii hai
gumanaam ke shaaKhcho.n me.n aashiyaa.N banataa hai ulfat kaa
ye ain visaal me.n bhii hijr ke Khadsho.n me.n rahatii hai

mohabbat ke musaafir zindagii jab kaaT chukate hai.n
thakan kii karachiyaa.N chunate vafaa kii ajarake.n pahane
samay kii rah_guzar kii aaKhirii sarhad pe rukate hai.n
to ko_ii Duubatii saa.Nso.n kii Dorii thaam ker
dhiire se kahataa hai
ke ye sach hai naa
hamaarii zindagii ik duusare ke naam likhii thii
dhundhalakaa saa jo aa.Nkho.n ke qariib-o-duur phailaa hai
isii kaa naam chaahat hai
tumhe.n mujh se mohabbat thii
tumhe.n mujh se mohabbat hai

mohabbat kii tabiyat me.n
ye kaisaa bachapanaa qudarat ne rakkhaa hai

 
swiftflierDate: Saturday, 2008-08-30, 8:46 PM | Message # 2
Major
Group: Moderators
Messages: 87
Reputation: 1
Status: Offline
Iss dil ki rahoon main,...
apno main sapno main,.....
Palko ki chilman main,....
ashko ke ansoon main,.....
Muskuratey hoton main,....
har haseen chhre main,....
Har lamhe yadoon main,....
khoobsorat muasam main,...
Phootti kaliyon main,.....
khiltey phoolon main,.....
Suraj ki kirno main,......
dhoop main saye main,.....
Karaktey badal main,......
baarish ki bondoon main,..
Dhalti shamoo main,.......
tanha ratoon main,........
Raat ki tariki main,......
chanda ki roshni main,....
Taroon ki jhilmil main,...
khushboo main sanso main,.
Un kahi batoon main,......
payar se mohabbat main,...
Dhonda jaahaan main,......
PAYA TUJH KO ANKHON MEIN!!!!
 
swiftflierDate: Saturday, 2008-08-30, 8:47 PM | Message # 3
Major
Group: Moderators
Messages: 87
Reputation: 1
Status: Offline
Bay Sabab Tu Na Theen Teri Yaadien
Teri Yadon Say Kia Nahi Seekha
Zabt Ka Hosla Barha Laina
Aansouon Ko Kahin Chupa Laina
Kanpti Dolti Sadaoon Ko
Chup Ki Chadar Say Dhaanp Laina
Bay Sabab Bhi Kabhi Kabhi Hansna
Jab Bhi Ho Baat Koi Talkhi Ki
Mozuy_e_Guftugo Badal Daina
Bay Sabab Tu Nahin Teri Yadien
Teri Yadoon Say Kia Nahin Seekha!!!

Meri zindagi ek katray ki manind hai
Key jiski keemat janta hai sehra ,, or koi nahi

Tujh Say Judai Key Ek Faislay Key Bad
Mai Khud Bhi Apnay Sath Kabhi Phir Raha Nahi

Aaj Tuk Rooh Mai Kanta Sa Chubhta Hai
Itna Kuch Keh Ker Bhi Kehney Ki Tamana Hi Rahi
Hayee!! woh Zakham Jo Lafzon Mai Paraoye Na Gaye
Ufffff!!! Woh Aansoo Jinhay Behney Ki Tamanna hi Rahi

Ker Gaye Daman Ko Taar, Phir Aaj Ashq
Mainay Behney Say Inhay Roka Buhat...
Mill Na Paya Apna Koi Bhi Nishaan
Khud Ko Apni Zaat Mai Dhonda Buhat...
Azmaon May Bhi Ab Tujh Ko Zara
Zindagi Tu Nay Mujhay Jancha Buhat...

 
swiftflierDate: Saturday, 2008-08-30, 8:47 PM | Message # 4
Major
Group: Moderators
Messages: 87
Reputation: 1
Status: Offline
usay apnay farda ki fikr thi woh jo mera waqif e khal tha
woh jo us ki subah e urooj thi wohi mera waqt e zawal tha

mera dard kesay woh janta meri baat kesay woh manta
woh to khud fna k safar mein tha usay rokna b muhal tha

kahan jao gay mujhay chor k main yah pooch pooch k thak gaya
woh jawab mujh ko na day saka woh to khud srapa sawal tha

woh jo us kay samnnay aa gaya wohi roshni mein naha gaya
ajab us ki haibat e husn thi ajab us ka rang o jamal tha

dam e wapsi usay kya huwa na woh roshni na woh tazgi
woh sitara kesay bikher gya woh to aap apni misal tha

woh mila to sadion k baad b mere lab pay koi gila na tha
usay meri chup nay rula diya jisay guftagu mein kamal tha

mere saath lag k woh ro diya mujhay FAKHRI itna woh kah saka
jisay janta tha main zindagi woh to sirf wekhm o khayal tha

 
swiftflierDate: Saturday, 2008-08-30, 8:47 PM | Message # 5
Major
Group: Moderators
Messages: 87
Reputation: 1
Status: Offline
Gungunatay Hue Anchal Ki Hawa Deh Mujh Ko
Ungliyaan phair Ke BAloon Main Sunlla Deh Mujh Ko

Jis Tarah Faltu Guldaan Paray Rehtay Hain
Apne Ghar Ke Kisi Konay Se Lagga Deh Mujh Ko

Yaad Kar Ke Mujhe Takleef He Hoti Hogii
Aik Kissa Hoon Purana Sa Bhulla Deh Mujh Ko

Doobtay Doobtay Awaaz Teri Sunn Jaoon
Akhiri Baar Tu Sahil Se Sadah Deh Mujh Ko

Main Tere Hijr Main Chup Chaap Na Marr Jaoon Kahin
Main Hoon Saktay Main Kabhii Aa Ke Rulla Deh Mujh Ko

Dekh Main Hogaya Badnaam Kitaboon Ki Tarah
Merii Tasheer Na Kar Ab Tu Jalla Deh Mujh Ko

Rhootna Tera Meri Jaan Liye Jata Hai
Aesay Naraaz Na Ho Hanse Ke Dekha Deh Mujh Ko

Aur Kuch Bhi Nahi Manga Mere Malik Tujh Se
Us Ki Galiyoon Main Parii Khaak Banaa Deh Mujh Ko

Log Kehtay Hain Ke Yeh Ishq Niggal Jata Hai
Main Bhi Is Ishq Main Aya Hoon,Dua Deh Mujhe Ko

Yahi Okaat Hai Meri Tere Jeevan Mein Ke Main
Koi Kamzoor Sa Lamha Hoon, Bhulla Deh Mujh Ko

 
swiftflierDate: Saturday, 2008-08-30, 8:47 PM | Message # 6
Major
Group: Moderators
Messages: 87
Reputation: 1
Status: Offline
Chalo ye rat ham ik dosre ke naam karte hain,
Chalo ik dosre ke aj ham dukh dard sunte hain,
Bhatakte ho kiun tum tanha sitaron ke jhamelon men,
kaho jo dil men aata hay hamtan gosh sunte hain,
Buhat ghamgen rehte ho hazaron dard sehte ho,
tumhari dharkanon men ik ajab sa shor sunte hain,
Chalo acha yon karte hain,
Suno tum ham sunate hain,
Ham apne dil ke har ik zakhm se parda uthate hain,
Dikhate hain tumhen tanhiyan kia zulm dhati hain,
Jhalak har pal daro dewar men uski dikhati hain,
Hamen har pal satati hain har ik lamha rulati hain,
Hamri sanson men tehlil hay khushbo wohi ab tak,
Hamen har phol se mehkar un sanson ki ati hay,
Buhat mushkil si hoti jarahi hay zindagi MEHTAB,
Tarapte hain sulagte hain magar khamosh rehte hain,
Chalo ye rat ham ik dosre ke naam karte hain,
Chalo ik dosre ki aj ham tanhaiyan banten.
 
swiftflierDate: Saturday, 2008-08-30, 8:48 PM | Message # 7
Major
Group: Moderators
Messages: 87
Reputation: 1
Status: Offline
kal raat janay kia HUA
kuch dair pehlay neend say
kuch ashk milnay aa gayey
kuch khuwaab bhi tootay huay
kuch log bhi bholay huay
kuch raasta bhatki hueen
kuch gard mein lipti hueen
kuch bay-tarah phaili hueen
kuch khoul mein simti hueen
bay-rabt si sochein kaei
bholi hui baatain kaei
ik shaks ki yaadein kaei
phir dair tak jaga raha
sochoun mein gum baitha raha
ungli say thanday farsh per
ik naam bas likhta raha
kal raat bhi woh raat thi
kuch dair pehlay neend say
mein dair tak rota raha
 
swiftflierDate: Saturday, 2008-08-30, 8:48 PM | Message # 8
Major
Group: Moderators
Messages: 87
Reputation: 1
Status: Offline
IDHER DEKHO YEH KHAMOSHI
ZARA ACHI NAHI LAGTI
KAHO!!!
KUCH TU KAHO JANA'N
RUTEIN KAISAY BADALTIEN HAIN
BAHAREIN GUM HOI KAISAY
KHIZAAN KA RAAJ KAISA HAI ??????
CHALO IK LAFZ GHALAT FEHMI
YA IK RISHTEY KI SACHAAIEE
MUHABBAT, DOSTI NAFRAT
KISI MAUZO KO CHAREIN HAM
KOI TU RAEY DO APNI
KOI TU SILSILA NIKLAY
MERAY IN SOOKHEY BALOO'N PER
MERI BANJAR SI AANKHOON PER
MERAY IN MAILAY DANTOO'N PER
CHALO TANQEED KAR DALO
SITAREY AISI PALKOO'N PER
NAHI JANA NAHI ACHAY
TUMHARI TU YE! AADAT THI
MERI HAR BAAT PAR HANSNA
ZAMEEIN PER APNI UNGLI SAY
AREY KYA LIKH RAHEY HO TUM
SUNO TUM SAY MUKHATIB HOON
MUJHEY DEKHO MAIN KAISAY HOON
AGARCHEY MAR GYA HOON MAIN
TUMHARA HUKM MANA HAI
TU PHIR KIS BAAT KA RONA
TUMHEY TU MUSKURANA HAI
INHI IK DO DINOO'N MAIN TU
MUJHEY BAS BHOOL JANA HAI..
 
swiftflierDate: Saturday, 2008-08-30, 8:48 PM | Message # 9
Major
Group: Moderators
Messages: 87
Reputation: 1
Status: Offline
Meray charagar
meray darad ki tujay kaya khabar
tu meray safar ka sharek hay
nahi humsafar
meray charagar,meray charagar
teray hatth say meray hatth tak
woh jo hatth bhar ka tha fasala
kaie mosamoon main badal gaya
isay naptay isay kat thay
mera sara waqat nikal gaya
nahi jis pay koi nishan-e pa
meray samnay hay woh rahguzar
meray charagar
meray darad ki tujay kaya khabar
yeh jo rag-e dashtay feraq hay
meray rastoon main bichi hui
kisi more pay rokay kaheen
yeh jo ratt hay meray char soo
magar is ki koi sahar nahi
na hi chaoon hay na samar koi
main nay chaan dekha shajar shajar
meray chara gar
meray darad ki tujay kaya khabar
 
swiftflierDate: Saturday, 2008-08-30, 8:49 PM | Message # 10
Major
Group: Moderators
Messages: 87
Reputation: 1
Status: Offline
mai ne iss taur se chaha tujhay aksar janaan!!!

mein nay iss taur se chaha tujhe aksar janaan
jaisay mahtab ko be-ant samander chahay
jaisay sooraj ki kiran seep ke dil mai utray
jaisay khushbu ko hawa, rung se hut ker chahay
jaisay pathhar ke kalaijay se kiran phoot-ti hai
jaisay ghunchay khulay mausam se hina mangtay hein
jaisay khaaboan mai khayaloan ki kamaan toot-ti hai
jaisay barish ki dua aabla-pa mangtay hein
mera har khaab meray such ki gawahi de ga
wus'at-e-deed ne tujh se teri khaahish ki hai
meri sochoan mai kabhi dekh sarapa apna!
mai ne duniya se alag teri parastish ki hai
khaahis-e-deed ka mausam kabhi dhundla jo hua
noach daali hain zamanay ki naqabain mai ne
teri palkoan pay utarti hui subhoan k liye
toar daali hain sitaroan ki tanabain main ne
mai nay chaha keh teray husn ki gulnaar fiza
meri ghazlon ki qataron se mehekti jaey
mai ne chaha keh meray fun ke gulistaan ki bahaar
teri aankhoan ke gulaboan se mehekti jaye
tai to yeh tha keh sajata rahay lafzoan ke kanwal
meray khamosh khayaloan mai takallum tera
raqs kerta rahay, bharta rahay, khushbu ka khumaar
meri khaahish ke jazeeroan mein takallum tera
tu magar ajnabi mahol ki parwardah kiran
meri bujhti hoi ratoan ko sahar ker na saki
teri sansoan mai maseehai to thee laikin tu bhee
chara-e-zakhm-e-gham-e-deeda-e-tarr, ker na saki
tujh ko maloom hi kab hai keh kisi dard ka daagh
aankh se dil mein utar jaey to kya hota hai???
tu keh seemab tabiyat hai tujhe kya maloom
mausam-e-hijr theher jaey to kya hota hai
tu nay uss moar pay tora hai ta'alluq keh jahan
dekh sakta nahin koi bhee palat ker janaan
abb yeh aalam hai keh ankhain jo khulain gee apni
yaad aey ga teri deed ka manzar janaan
mujh se maangay ga teray ehd-e-mohobbat ka hisaab
teray hijraan ka dehekta hua mehshar janaan
yoon meray dil ke barabar tera gham aya hai
jaisay sheeshay ke maqabil koi pathhar janaan!!!
jaisay mahtaab ko be-ant samander chahay
mai ne iss taur se chaha tujhay aksar janaan!!!

 
swiftflierDate: Saturday, 2008-08-30, 8:49 PM | Message # 11
Major
Group: Moderators
Messages: 87
Reputation: 1
Status: Offline
Chaacha Wardi Lahnda Kiyon Nahin"
Ban ke mard wakhanda kiyon nahin
Apna qaul nibhanda kiyon nahin
Lay ke pension janda kiyon nahin

Chaacha Wardi Lahnda Kiyon Nahin

Teri muddat ho gai poori
Hun te janra hay majboori
Rajia nahin tu khaa khaa choori
Torriyan tu hadan dastoori
Izzat de naal janda kiyon nahin

Chaacha Wardi Lahnda Kiyon Nahin

Nas ke tu washington jaaven
Bush noon jaa jaa masske laaven
Pairi dig dig tarle pavain
Mazlooman noon tarryian lavain
Zaliman naal takranda kiyon nahin

Chaacha Wardi Lahnda Kiyon Nahin

Baatil ne shatranj vichchai
Muhra labh ke chaal chalai
Millat noon toon maat kamai
Yaari dushman naal nibhai
Jurman te sharmanda kiyon nahin

Chaacha Wardi Lahnda Kiyon Nahin

 
swiftflierDate: Saturday, 2008-08-30, 8:49 PM | Message # 12
Major
Group: Moderators
Messages: 87
Reputation: 1
Status: Offline
ager kuch nam dayna hoo
mujhay insaan maat kahna
jooda charay,jooda beshak sahbi kay nam hotay hain
mager insaniyat kay ab yaha per daam hotay hian
mere tum daam maat dayna
mujhay ye nam maat dayna
ager kuch nam dayna hoo
mujhay ahsas kahy dayna
mager tahrooo!
mujhay ahsaas maat kahna
mera bas nam rah jay mujy asa nahi rahna
mujhay ahsaas maat kahna
ager kuch nam dayna hoo
mujhay sawan hi kah dayna
mager tahrooo
mujhay sawan maat kahan
barsata hay mager
rut kay badlay betee jata hay
ager kuch nam dayna hoo
mujhay ansoow hi kah dayna
janam layna kiss ki ankha main
raksar pay marna
ye hi jiss ki haqetat hay
cholo ansoow hi kah dayna
mager dekhaooo
kiss ki ankha main muj ko kabi anay na dayna
kay kimat ansooowoo ki ab ab ada tum se nahi hoo gi
mujhay ansooow nahi kahna
!
mujhay ankhon main basta ik hasaeen sapna hi kahna
kay sapnay ankhoo main tarooow ki tarhan jilmailtay hain
mager tahrhoo!
mauhay sapna maat kahna
kay sapnay totut jatay hain
mujhay apna nahi kahna
kay apnay tu rauthoo jatya hain
 
swiftflierDate: Saturday, 2008-08-30, 8:50 PM | Message # 13
Major
Group: Moderators
Messages: 87
Reputation: 1
Status: Offline
Agar aansu naa hote aankho mein,
toh aankhen itni khoobsurat naa hoti,
agar dard na hota dil mein,
to khushi ki keemat pata na hoti,
agar bewafai na ki hoti waqt ne,
to wafa ki kabhi chahhat na hoti,
agar mangne sa puri ho jaati muraadein,
toh uss khuda ki kabhi zarurat naa hoti.....

Kudrat ke karishmo me agar raat na hoti,
Khwabon me bhi unse mulaqat na hoti,
Yeh dil har ek gam ki wajah hai,
Ye dil hi na hota toh koi bat hi na hoti..

 
  • Page 1 of 1
  • 1
Search:


Copyright MyCorp © 2024
Free web hostinguCoz