suna na chahta hon ek kahani apni ankhon ki
k teri yaad mein kaise ye ankhien bheeg jaati hain tumhari yaad aankhon mein liye jab bheegta hon main
badan to khushk rehta ha ye ankhien bheeg jati hain
ye do ankhien jo hain, ek mein hansi hai ek mein ansu
mager tanhai mein dono ye ankhien bheeg jati hen
jisey rotha hua dekha nahi karti thi yeh ankhien
wo ankhien to bahot hein khush yeh ankhien bheeg jaati hein
yah meri ankh hai ke jheel ka behta koi paani
khushi ki baat b sun lon to ye ankhien bheeg jaati hain
meri bechain ankhien jab duaon mein tujhey mangien
to lab khamosh rehtey hain ye ankhien bheeg jaati hain
chupa rakhi hai ek tasveer teri kab se is dil ne
yeh jab bhi yaad karta ha yah ankhienbheeg jati hen
tumhare naam ka surma lagaya jab se ankhoan ne
tumhara naam b sun kar ye ankhien bheeg jaati hain
guzaaray they kabhi ek sath jo khuhsio k pal hum ne
wo lamha yaad aata hai yeh ankhien bheeg jati hain
barey asan lafzon sey khuda hafiz kaha tum ne
tumhein maloom b to tha ye ankhien bheeg jaati hain
jo sunta hai meri ye dastan wo mujsey kehta hai
Tahir teri kahani sun ke ankhien bheeg jati h