Saahilon per bhi kabhi dubne ke armaan nikle
yaadon ki kashti se jab sehme se tufan nikle hausle bhi the bulund yaqeen kuchh iradon per bhi tha
unhi galiyon mein ab na fir kisi ki jaan nikle
mehak rahi thi raahein aaj fir usi khushbu se
sametkar wo apni zulfon main na jaane kitne gulistan nikle
izhaar apne pyar ka hum bhi yeh kisse kar baithe
phool se hoth hi aksar jazbaaton se bezubaan nikle
kuch sabak apni zindagi se bhi liya karo "jeet"
jise tum samajte the manzil wo bas chhote se mukaam nikle