"udas shameen,,ujarr rastay kabhi bulayeen tau laut ana kisi ki ankh mein rut jagoon k azaab ayeen tau laut ana
abhi nai wadiyoon .nay manziroon mein reh lo mager meri jaan
yah saray aek aek ker k tum ko chore jayeen tau laut ana
jo shaam dhaltay hi apni apni panahoon ko lauttay hein
ager woh punchhi kabhi koi dastaan sunayeen tau laut ana
ager andheroon mein chore ker tum ko bhool jayeen tumahray sathi
oar apni khater hi apnay apnay deeyay jalayeen tau laut ana
mein yunhi hawa pea likh likh k uski janab bhaijta raha hoon
kabhi achhay mausam ager paharron pea muskarayeen tau laut ana
nay zamanoon ka karab oarhay zaeef lamhay nidhal yadeen
tumahray khawaboon k band kamroon mein laut aayeen tau laut ana
mein yunhi hawa pea likh likh k uski janab bhaijta hoon
k achhay mausam ager paharoon pea muskarayeen tau laut ana
meri woh bateen tau jin pea be ikhtiyar hansata tha khilkhila ker
bichharnay walay meri woh bateen kabhi rulayeen tau laut ana"