dayaar-e-dil ki raat mein chiraagh sa jalaa gaya
milaa nehi toh kya huwa vo shaql toh dikhaa gaya judaaion ke zakhm dard-e-zindagi ne bhar diye
tujhe bhi neend aa gayee mujhe bhi sabr aa gaya
ye subha ki safediyan ye do-paher ki zardiyaan
ab aaeene mei dekhtaa huun mei kahaan chala gayaa
pukartii hein fursatein kahan gayee wo sohbatein
zamee nigal gayee unhe ya aasmaan khaa gayaa
wo dosti toh kher ab naseeb-e-dushmanaan huwee
vo chhoti chhoti ranjishon ka lutf bhi chala gayaa
ye kis khushi ki rett per ghamon ko neend aa gayee
vo leher kis taraf gayee ye mei kahaan samaa gayaa
gaye dino ki laash per pare rahoge kab talak
utho amal_kashon utho ki aaftaab sar pe aa gayaa