kahin mile to usey yeh kehna...
k tanha sawan bita chuki houn
main saaray arman jala chuki houn
jo sholay bharkay thay khusion kay....
woh aansoun say bhuja chuki houn kahin mile to usey yeh kehna...
baghair us kay udaas houn main...
badalti rut ki kias houn main
bhuja day apni mohabtoon say..
sulagti sadion ki pyas houn main...
kahin mile to usey yeh kehna..
k dia jo nafrat ka zehar usnay..
samajh k amrat pee rahi houn
bari mushkil say jee rahi houn
kahin mile to usey yeh kehna
k woh mere jazbay kuchal gaya hai
na badlay mosam bhi itni jaldi...
woh itni jaldi badal gaya hai...
kahin mile to usey yeh kehna...
fasle nafrat gira rahi houn..
gaye dinon ko bhula rahi houn
wo apnay wadey say phir gaya hai..'
main apnay waday nibha rahi houn
kahin mile to usey yeh kehna...
na dil main koi malal rakhay...
hamesha apna khyaal rakhay..
apnay saaray ghum mujh ko day day
tamaam khushian sambhal rakhay...
kahin mile to usey yeh kehna...........