Mere Be-khabar ...
Mere roz-o-shab ke naseeb mein
Tere baad dard hi reh gaye
Meri chaahatoon ki ameen jheel ke paneyoo pe
Kanwal ka aik bhi phool kab se khila nahe
Kisi raaj hans ne ...
Chahatoon ki kahaani koi raqam na ki
Kisi door dais se pancheyoon ka
Muhabatoon bhara qafila na utar saka
Kaee abar lamhay guzar gaye ...
Meri pyaas pyaas hi reh gaee
Kisi urtay panchi ke geet mein
Teri waapsi ki naweed ho ...
Meri aas ... Aas hi reh gaee
Teri qurbatoon ki tamazatain mein na choo saki
Mere hath sard hi reh gaye
Chaleen aisi hijar ki aandheyaan
Meri shaakh-e-jaan se
Tumhare lams ke phool
Saray hi jhar gaye
Kaee mausamoon se yeh haal hai
Meri shaakh-e-jaan na hari huwi
Aur ... Phool chun'ne ki chaah mein Mere haath mein ...
Teri yaad ke ...
Kuch barg-e-zard hi reh gaye ... !!!